aalone's profileηªZªя...'s spacePhotosBlogListsMore Tools Help

aalone geminii

Occupation
Location
ask me
No list items have been added yet.

ηªZªя...'s space

Another Unexpected Adventure Of Love
July 02  
Photo 1 of 29
March 05

Ek vehem Tha Dil Mein Shayad Kabhi Milo Tum

Ek vehem Tha Dil Mein Shayad Kabhi Milo Tum
Kuch Dair Rukh Ke Pochoo Betay Dinoo Ka Mosam
Awaz Mein Ho Larzish Aankhoon Mein Ek Tajassus
Mazi Ka Koi Lamha Shayad Aatak Gaya Ho
Sab Bhool Ker Bhi Shayad Kuch Yaad Aagaya Ho
Phir Mein Tumhain Bataoon Apni Khushi Ki Batain
Har Dukh Chupa Ke Dil Mein Aasoodgi Ki Batain
Wo Chand Choudwiin Ka Taroon Bhari Wo Ratain
Pyaar Ka Tassauwur Aur Bandagi Ki Batain
Woh Roz Roz Marna Aur Zindagi Ki Batain
Tum Dukh Se Muskuraoo Aur Dheray Se Paas Aao
Sir Ko Jhuka Ke Apne Chup Chap Lout Jaoo
Phir Mein Bhi Muskuraoo Aur Dil ke Diyee Bhujaon
Lehraoon Apnay Je Main Ek Talkh Si Haqeqat
Ek Khuwab Zindagi Ka Haan Omer Bhar Jo Dekha
kabhi Hosaka Na Pora Yun Hi Reh Gaya Aadhora ...
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************X

Liya tha aik wada tumne mujse....
Hamesha khush hi rehna hai...
To dekho, dekh lo aa kar..
Meri ankhon ko dekho tum,
Yeh kitni shokh lagti hain...
Mere honton ko dekho tum,
Hamesha muskuraty hain...
Koi b ghum agar aye,
Usay hans kar saha main ne...
Mere chehray ko dekho tum,
Hamesha pur sakoon ho ga...
To socho gay.....
Kia tha main ne jo tumse,
Wo wada ker diya poora...!!!
MAGAR
Ik baat hai piyare...
Kabhi jo waqat mil jaye,
To meri shairi parhna...
Tumhain mehsoos to hoga,
Kaheen talkhi bhara jumla...
Kaheen yeh sard sa lehja,
Kaheen par dard ki jheelain...
Kahin lehjay ki karwahat,
Suno....!!!
Main khush to hoon lakin,
lahoo har lafz rota hai...
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************X
 
 
 
kaha tu nay "ISHQ DHOONG HAI"  !!!!!!!!!
tujhay ishq ho KHUDA karay
tujhay us se koi juda karay
tere hoont hasna bhool jayain
teri aankh purnam raha karay
tu usi ki batain kia karay
tu usi ki batain suna karay
tu teheh jaye usay dekh kar
wo nazar jhuka kay chala karay
tere khwaab bikhrain toot kar
tu kirchi kirchi chuna karay
tu gali gali sada karay
tu nagar nagar phira karay
tujhay ishq per yaqeen ho
usay tasbiyoon per perha karay
main kahu "ISHQ DHONG HAI"
tu har pal na na kia karay...
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************
 
 
 
 
Ek Rah Per Sari Umer Chaley
Ek Dojey Ko Na Samjh Sakey
Jeevan Ka Safer Anjaan Safer
Bay Khahish Bay Araam Safer
Jevan K Kissi Bhi Dukh Sukh Main
Woh Meray Saath Shareek Nahin
Hum Dono Main Ek Rishta Hai
Per Jazboon Ki Tehreek Nahin
Jari Hai, Mager Anjaan Safer
Main Sochta Hoon Aik Din Yunhi
Woh Mujh Sey Juda Ho Jayegi
Ya Pehlay Main Mar Jaon Ga
Ya Shaid Woh Mar Jayegi
Phir Loug Kahin Gay Inka
Yeh Rishta Kitna Sacha Tha
Per Kiss Ko Khaber, Sara Jeevan
Woh Tanha Thi…
Main Tanha Tha...
 
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************
 
 
 
Ye chiraag be nazar hai ye sitaaray be zabaan hain,
abhi tujh se milta julta koi doosra kahan hai...
kabhi pa kay tujh ko khona, kabhi kho kay tujh ko pana,
ya janam janam ka rishta tere mere darmiyaan hai...
mere saath chalnay walay tujhay kia mila safar main,
wohi dukh bhari zameen hai wohi ghum ka aasmaan hai...
main isis gumaan main barsoon bara mutmaeen raha hoon,
tera jism betagaiyurr mera piyaar jadodaan hai...
inhi raastoon nay jinper kabhi tum thay saath mere,
mujhay rok rok poocha tera "HUMSAFAR" kahan hai...
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************X
 
 
 
jahan tak had-e-nazar hai
bus safar hi safar hai
saraab rahoon pe chaltay chaltay
yunhi hasrat se haath maltay maltay
aankhain khoj rahi hain kisi rehbar ko
per koi rehbar nahi milta
jise keh sakoon is jahan main
is hujoom-e-beqarar main
tanha ho gaya hoon mai
haan kho gaya hoon mai
mujhay mere ghar tak le jaye koi
mujhay mera ghar nahi milta...
 
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************X
 
 
shayad usnay mujha ko tanha dekh lia hai
dukh nay mere ghar ka rasta dekh lia hai
apnay app se aankh churata phirta hoon
aainay main kisi ka chehra dekh lia hai
ab bhi sapnay boye hain to imaan hai uska
usnay in aankhoon main sehra dekh lia hai
usnay mujhay darasal kabhi chaha hi nahi
khud ko de kar ye bhi dhoka dekh lia hai
us say miltay waqt ka rona kuch fitree tha
us say bichar janay ka nateeja dekha hai
rukhsat karnay kay adaab nibhanay thay
band aankhoon se usko jata dekh lia hai...
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************X
 
 
 
Hum teri dhund main jiya kartay thay,
man hi man chup chup phira kartay thay...
aankhoon main piyaar hua karti thii,
dil main toofaan utha kartay thay...
log atay thay ghazal sunay ko,
hum teri baat sunaya kartay thay...
sach samajhtay thay teri mohabbat ko,
dil main kia phool khila kartay thay...
ghar ki dewaaroon ko sajanay ki khatir,
hum tera naam likha kartay thay...
wo bhi kia din thay tujhay bhula kar
hum tujh ko yaad kia kartay thay...
kal tujhay dekha to yaad aya,
hum bhi kabhi mohabbat kia kartay thay...
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************X
 
 
 
 
Kaun Kaheta Hai Woh Mere Bagair Tanha Hoga
Woh Ek Chirag Hai Kahi Aur Jalta Hoga
Yeh To Hum Hai Ek Saakin si Jheel
Woh To Bikhta Huwa Ek Dariya Hoga
Woh To Rehta Hai Mohabbaton Ke Desh Mein
Usse Kya Khabar Koi Usko Sochta Hoga
Woh Mere Dard Se Be-Khabar Nahi Tha Magar
Usse Dukh Baatne Ka Na Saleeqa Hoga
Itna Naadan Nahi Ki Samajh Bhi Na Sake
Usi Ka Tazkara Meri Har Ghazal Mei Huwa Hoga
Banaya Gaya Tha Hume Khulus Ki Mitti Se
Hume Khabar Na Thi Woh Bad-Gumaan Hoga
Maine Usse Chaha Tau Chahata Hi Gaya
Meri Shiddato Se Ghabra Kar Woh Chal Diya Hoga...
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************X
 
 
 
 
phir kisi ki yaad nay shab bhar hay jagay mujh ko,
kia saza di hai mohabbat nay khudaya mujh ko ...
din ko araam na raat ko hai chain kabhi,
janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko...
dukh to ye hai zamanay main milay ghair sabhi,
jo mila wo mila ban kay paraya mujh ko...
jab koi bhi na raha kandha mere ronay ko,
ghar ki deewaroon nay seenay se lagaya mujh ko...
yun to umeed-e-wafa tum se nahin hai koi,
phir chiragoon ki tarhaan kis nay jalaya mujh ko...
bewafaa zindagi nay jab chor dia hai tanha,
maut nay piyaar se pehlu main bithaya mujh ko...
woh diya hoon jo mohabbat nay jalaya tha kabhi,
ghum ki aandhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko...
kaisay bhooloonga wohi wasi kay lamhay,
yaad ata raha zulfoon ka wohi saya mujh ko...
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************X
 
 
 
 
ya KHUDA mere zakhmoon pe itna to rehem kar dena
na milay kafan, na sahi ek yaar ka deedaar dena
hosakta hai main kuch na chor paoon apnay dilbar kayliye
ho sakay to tu hi mere thoray se zakhm usay udhaar dena
mujhay meri manzil na milnay ka koi afsous nahi
usay milay uska dilbar bas itni dua dena
or kuch nahi maangta is tarapti hui rooh kay liye
ek ilteja hai, tu mujhay uski ankhoon ka samandar bana dena...
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************X
 
 
 
Meri mohabbat se to kuch log bhi jal jataya hian,
duhmanoon se bhi kuch agay nikal jatay hain...
ghair to ghair hain ghairoon se kia gila karain,
kia kahain unhian jo teer apnoon se chal jatay hain...
aasteenoon ko bacha kar bohot rakhtay hain,
phir bhi kuch saanp jo anjanay main pal jatay hain...
ab us shaks ko pather bhi nahi keh saktay,
gehera_E_ishq se to pather bhi pighal jatay hain...
apnay haathoon main liye phirti hai duniya...suraj,
ik hum hain jo chiragoon se behel jatay hain...
itni jaldi to badaltay nahi mausam bhi,
jitni jaldi yahaan log badal jatay hain...

Gher jao to yaroon se mera zikr na karna

Gher jao to yaroon se mera zikr na karna
vo zabt na kar payaingay aankhon kay samandar ko
tum rehguzar se mera zikr na karna
phooloon kay nasheman main raha hoon shuru se
dekho kabhi ujaloon se mera zikr na karna
shayad ye andhere hi mujhay rah dikhayain
ab chand sitaroon se mera zikr na karna
vo meri kahani ko ghalat rung na de dain
afsana nigaroon se mera zikr na karna
shayad wo mere haal pe be sakhta ro dain
ib baar baharoon se mera zikr na karna
le jaingay baha kar tum ko bhi baha daingay
dariya kay kinaroon se mera zikr na karna
wo shaks milay to use har baat batana
tum sirf isharoon se mera zikr na karna
dukh dard kay maroon se mera zikr na karna...
 

X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x

 
Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya,
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya...
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala,
Aaj jab aankh yeh roi tu bohot yaad aaya..
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha,
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya...
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha,
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya...
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi,
aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya...
Mere jevan ki her khushi main wohi tha bus,
aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya...
 

X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x

 
Main Dil Par Jabar Karoon Ga Tujhe Bhula Doon ga,
Maroonga Khud Bhi, Tujhe Bhi Kari Saza Doon Ga...
isi Khayal Main Guzri Hai Sham_e_Dard Aksar,
Ke Dard Hadh Se Barhey Ga To Muskara Doon Ga....
Meri Nigah_e_Shoq Se Kaisay Nahin Thay Tum,
Hairat Se sochta Hoon Jane Kahan Thay Tum...
Asmaan Ki Surat Hai Gir Parega Kabhi,
Zameen Hoon Main bhi Magar Tujhe Asra Doon Ga...
Barha Rahi Hai Mere Dukh, Nishaniaan Teri,
Main Tere Khat Tere Tasweer Tak Jala Doon Ga... 
 

X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
 Tu Jo Roi meri palkon pay nami reh jay gi,
Zindagi bas naam hi ki zindagi reh jay gi...      
Tark-e-Ulfaat ke Irade par zara phir sochiye,
Main chala jaaonga aur tu dekhti reh jay gi...
Ye nahi Kehte ke Tuj bin Jee nahi paengy hum,
Haan humari Zindagi mein ik Kami reh jay gi...
Piyar ke sadqe ye lagta hai hamare Darmiyaan,
Aur kuch na bhi Raha ye Dosti Reh jay gi...
Main To Tae kar ke Chala jaonga duniya ka Safar,
Mere baren mein ye Dunia Sochti reh jay gi...
Zaat se Bar kar hai apni mujh ko apna piyara Fun,
Main Agar na bhi Raha Ye Shairi Reh jay gi...
 

X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x

 

masoom muhabbat ka bus itna fasana hai
kagaz ki haweli hai, barish ka zamana hai
kyu shart-e-muhabat hai? kiya shart-e-zamana hai?
awaaz bhi zakhmi hai, aur geet bhi gana hai
us paar utarne ki umeed bohat kam hai
kashti bhi purani hai, tufaan ko bhi aana hai
samjhe ya na woh samjhe, andaaz muhabbat k
ek shakhs ko aankho se shair sunana hai
bholi se ada koi , phir ishq ki zid per hai
phir aag ka darya hai, aur doob k jana hai...
 

X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************X
 
Kal raat ajab saniha hua reth per,
naam tera nahi likh saka reth per...
kis ki awaaz se tham gaye hain kadam,
phir se kis nay de mujhay sada reth per...
uski aankhoon se sholay nikaltay rahay,
naachti reh gai kal ghata reth per...
tuney jo bhi hawa se kaha ' reh gaya,
mit gaya main nay jo bhi likha tha reth per...
ab ye sehra hi tere muqaddar main hai,
tune maangi hi kiyun thi dua reth per...
ik shola utha us jaghaan se ...Wasi~**
mera aansuu jahaan gira reth per...
 

X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x

kuch log sitam karnay ko tiyaar bethay hain,
kuch log magar hum pe dil haar bethay hain...
is kashmakash main hum se pehchanay nahi jatay,
kahan dushman'kahan dost yaar bethay hain...
ishq ko aag ka darya samajh lijiye huzoor,
koi us paar betha hai tu hum is paar bethay hain...
kal tak jin ki hasrat thi humain badnaam karnay ki,
ajjj wohi loog apnay kiye per sharamsaar bethay hain...
duniya se roth janay ki khwahish hai hamari,
kia karain ? us khwahish pe pehraydaar bethay hain...
 

X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x

Jaate Jaate teri agar aankh bhar aati nahin,
mujhe bhi shaayad kabhi teri yaad aati nahin...
pata nahin kuch un mein hai ya un ke dil mein Chor hai,
un ke chehre par meri nazar tik paati nahin...
samajh he aata nahin ye rog kya hai ishq ka,
neend aati to hai lekin neend he aati nahin...
tu agar mil ke mujh se door karti sab gilay,
main bhi pachhtaata nahin tu bhi pachhtaati nahin...
jab se kho diya tujh ko kho diya hai har yakeen,
in labon pe aaj kal koi dua aati nahin...
tu bata main kaise samjhoon tere dil ki baat ko,
apni khwahish tu zabaan par jab talak laati nahin...
ek hum hain jo unhein bhool hee paate nahin,
ek wo hain jinhein hamaari Yaad tak aati nahin...
ishq ki daastaan ajeeb daastaan hai jo,
samajh to aati hai lekin samajhai jaati nahin...
baad mein jo bhi hua ho lekin ae mere,
pehli mulaqat mujh se bhi bhulaai jaati nahin...
 

X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x

Chaha hai main nay bohot shidat se tum ko,
main tumhain bohto shidat se yaad aaongi...
yun sakoon se tum kabhi so na sako gay,
ban kay dil ki kasak raat bhar jagaoongi...
ab kay baras sawan dil main agg lagaye ga,
bheegogay tum jab bhi barish main'main yaad aaongi...
har shairr her nazam main yaad ayeingi meri baatian,
perho gay jab bhi koi shairr main yaad aaongi...
 

X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x

Ye dua hai aatish-e-ishq mian tu bhi meri tarhaan jala karay,
na hansna naseeb hotujhay,tere dil main bhi dard utha karay...
tujhay rog lagay aisa kay jiska jaahan main ilaaj na ho,
tera jal kay seena kabab ho, tu dil ki dawa ko phira karay...
tere saamnay tera ghar jalay'tera bas na chalay tu bujha na sakay,
tere dil se niklay bas ye dua'kay ghar na kisi ka jala karay...
2:30 PM | Add a comment | Send a message | Permalink | View trackbacks (0) | Blog itDareechay se jhankti hui ik larki...
Dareechay se jhanti hui wo larki ajeeb dukh se bhari hui hai,
kay is kay aangan main phool per ik nili titli mari hui hai....
kabhi azanoon main khoi khoi, kabhi namazoon main roi roi,
wo aisay duniya ko dekhti hain kay jaisay is say dari hui hai...
durood se mehki mehki saansain, wazifa perhti hui wo annkhin,
kay Ek shamma-e-umeed un main, kai baras se dhari hui hai ...
wo dukh ki chadar main lipti lipti,kalay kaproon main simti simti,
mohabbat us nay kisi se shayad meri tarhaan hi kari hui thi ...
baray zamanoon kay baad barsi hain meri aankhin kisi ki khatir,
baray zamanoon kay baad dil ki zameen phir se hari hui hai...
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************X
Baat niklegi to bohto door talak jayegi ,
log bewaja udaasi kay sabab poochain gay ...
ye bhi poochain gay tum itnay udaas kiyun ho,
ungliyaan uthaingi sookhay huya baloon ki taraf...
ik nazar dekhain gay guzre hhuye saloon ki taraf,
chooriyoon per bhi  kai tanzz kiye jayain gay...
kaanptay hontoon pe bhi fikray kasay jayain gay ,
log zalim hain har ik baat pe tana dain gay ...
batoon batoon main mera zikr bhi le ayain gay ,
unki batoon ka zara sa bhi asar mat lena....
warna chehray kay tasur se samajh jayain gay,
chahay kuch bhi ho sawalaat na karna unsay...
 kyunkii ,
baat niklegi to bohot door talak jayegi...
 

X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************X
 
Kitab-e-mazi....
Bohot muddat baad jab,
kitab-e-maazi ko main khola...
bohot se chehray nazar main uteray,
bohot se chehroon pe dil paseeja...
ik aisa safha bhi us main aya,
likha hua tha jo aansuoon se...
kay jis ka unwaan HUMSAFAR tha,
jo safha sab se hi mutabbar tha...
kuch aur aansuu phir us pe tapkay,
phir us kay agay main perh na paai...
kitab_e_maazi ko band kar kay,
tumhari yadoon main kho gai main...
agar tu milta to kaisa hota, ?
inhi khayaaloon main so gai main...
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************X
 
Mein Lafzoun Mein Kuch Bhi Izhar Nahi Karti..
Is Ka Matlab Ye Nahi Ke Mein Tujhe Pyar Nahi Karti..
Chahti Hoon Tujhe Aaj Bhi..
Per Teri Soch Mein Apna waqt Bekar Nahi Karti..
Tamasha Na Ban Jaye Kahien Mohabbat Meri..
Isi Liye Apnay Dard Ko Namudar Nahi Karti..
Jo Kuch Bhi Mila Hai Usi Mein Khush Hoon..
Tere Liye Khuda Se Takrar Nahi Karti..
Per Kuch Tu Baat Hai Teri Fitrat Mein Zalim..
Warna Mein Tujhe Chahne Ki Khata Bar Bar Nahi Karti..
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************X
 
Ek shaks mujhay yun akela kar gaya
jaisay dariya rehkar koi piyaasa reh gaya
unse humne unka saath maanga tha
bari himat karkay unka haath maanga tha
magar' woh chal diye do pal saath guzaar ker
ab ye halat hai na chup se banta hai na hi unhain pukar ker
thi zaroorat mujhay us kay saath ki umer bhar k liye
chal diye saath kisi or kay, mujhay fana kar gaya...
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************X
 
Mere aansuoon ki ladi per tera hi naam hoga
kia khabar thi kay chahat main ye anjaam hoga
khushiyaan mana rahay ho ghairoon kay galay ka haar ban ker
kia tijarat hai ye piyaar jo aisay nilaam hoga
bohot kuch kar jaoon teri bewafai kay badlay
magar sochta hoon... kay tu badnaam hoga
tera piyaar,qasmain,vaaday sab jhoot thay
maloom na tha kay tu bhi ik shaks aam hoga
mujhay perchan nay se musalsal inkaar kartay rahay
na jaantay thay kay tamasha saray amm hoga...
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************X
 
 
Tum ja to rahay ho per itna batado
is dil se kia kahon ise kaisay samjhoon
iskay tootnay ki awaaz to na ayegi tumhain
per uskay tukroon ko le kar main kahan jaoon
tum ja to rahay ho per itna to batado
un yadoon ka main kia karoon
tumharay likhay khatoon ko main kahan jalaoon
kisay baar baar sataoon kisay manaoon
tum ja to rahay ho per itna to batado
meri siskiyoon main bhi tumhara hi naam hai
in aansuoon ko main kahan chupaoon
tum shumaar ho ab tak parda nasheenoon main
log sabab poochaingay to bolo main kia bataon
tum ja to rahay ho per itna to batado
tujhay bhoolanay kay liye kaun si tareekhi apnaoon
meri dharkan,har saans ki rawangi ho tum
tumjhay bhoolanay ki koshish main kahin mar na jaoon...
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************X
 

Zindagi Sey Yahi Gilaa Hay Mujey
Tu Bahoot Dair Sey Milla Hay Mujey
Hamsafar Chaahiye, Hajoom Nahin
Ek Musaafir B, Qaafila Hay Mujey
Dil Dhadakta Nahin Sulagtaa Hay
Woh Jo Khwahish Thi, Aabala Hay Mujey
Lab Kusha Hoon Tu Is Yaqeen K Saath
Qatl Honey Ka Hosala Hay Mujey
Tu Muhabbat Sey Koi Chaal To Chal
Haar Janey Ka Hausla Hay Mujey
Kaun Janey Keh Chahatoon Main . . . . .
Kya Ganwaya Hay, Kya Milla Hay Mujey...
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************X
 
 
Dil kay sanatoon main rehnay walay tanha tum hi nahi,
tanhai se batain karnay walay tanha tum  hi nahi...
is ishq nay barbaad kia hai har shaks ko,
is ishq main bikharnay walay tanha tum hi nahi...
kehnay ko to faqat ik dil hi to toota hai,
apna sab kuch lutanay walay tanha tum hi nahi...
hanstay huye chehray hain yahan sab kay,
dard yun chupanay walay tanha tum hi nahi...
shab-e-tanhai ki daastaan aik si hai sab ki,
andheroon main rehnay walay tanha tum hi nahi...
aisa lagta hai ik saza ho zindagi meri,
is qaid main rehnay walay tanha tum hi nahi...
is sheher main or bhi deewanay hain,
dar dar bhataknay walay tanha tum hi nahi...

 

Meri tarhaan kisi se mohabbat usay bhi thi

Tujh ko yaad to ata ho ga....
Dukh ki leher nay chera hoga,
yaad nay kankar phenka hoga...
ajjj to mera dil kehta hai,
tu is waqt akaila hoga...
mere chumay huye haathoon se,
auroon ko khat likhta hoga...
bheeg chali ab raat ki palkain,
tu ab thak kar soya hoga...
rail ki gehri siti sun kar,
raat ka jangal gunja hoga...
aangan per phir chiryaan bolein,
tu ab so kar utha hoga...
yaadoon ki jalti shabnam se,
phooloon sa mukhra dhoya hoga...
shaam hui ab tu bhi shayad,
apnay ghar ko lota hoga...
neeli dhundli khamooshi main,
taaroon ki dhund sunta hoga...
mera saathi shaam ka tara,
tujh se aankh milata hoga...
main to ajjj roya hoon,
tu bhi shayad roya hoga...
Nasir~** tera miyaat per ana
tujh ko yaad to ata hoga....

X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x

Main sochta hoon bhula doon usko,
tor doon wo wafa ki rasmain...
bhool jaaoun wo saari qasmein,
main sochta hoon bhula doon usko...
jo chala gaya hai wo lott aaye,
ab dil main kaisi ye aas rakhna...
laboun ko si lein kuch is tarah se,
ab in pe kisi ka na naam aaye...
main sochta hoon bhula doon usko,
gaye dinoon ki ab yaadein kaisi...
jo ki thi un se wo baatein kaisi,
jo shaks tum ko bhula chuka hai...
ab un se milne ki aanhain kaisi,
main sochta hoon bhula doon usko...
wo mera saathi jo hamsafer tha,
mere ghamoun se jo ba-khabar tha...
mere dareechey ka rah-guzer tha,
main sochta hoon bhula doon usko...
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x 
 
Toot kar zara dekho,
tum agar bikhar jao...
bebasi main ghir jao,
dil se ek sada dena...
bas mujhay bula lena,
main tumhain sambhal longa...
zindagi main chalnay ka,
rasta badalnay ka...
ek hunar sikha doonga,
tumko hosla doonga...
or jab sambhal jao,
roshni main dhal jao...
mujh ko yun sila dena,
tum mujhay.....bhula dena...
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x 
 
samandar main utarta hoon to aankhain bheeg jati hain ,
teri aankhoon ko perhta hoon to aankhain bheeg jati hain ...
tumhara naamlikhnay ki ijzat chin gayee jab se,
koi bhi lafz likhta hoon to aankhain bheeg jati hain ...
teri yadoon ki khushboo khirkiyoon main raks karti hain ,
tere ghum main sulagta hoon to aankhain bheeg jati hain ...
main hans kay jhail leta hoon judaai ki sabhi rasmain,
galay jab us kay lagta hoon to aankhain bheeg jati hain...
woh sab guzray huye lamhaat mujh ko yaad atay hain,
tumharay khat jo perhta hoon to aankhain bheeg jati hain...
main sara din bohot masroof rehta hoon magar junhi
qadam chokhat pe rakhta hoon to aankhain bheeg jati hain...
har ik muflis kay mathay per alam ki daastaan hai,
koi chehra bhi perhta hoon to aankhain bheeg jati hain...
baray logoon kay unchay, badnuma or sard mehloon ko,
ghareeb aankhoon se takta hoon to aankhain bheeg jati hain...
hazaroon mausamoon ki hukmarani hai mere dil per ,
wasi main jab bhi hansta hoon to aankhain bheeg jati hain ...
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x 
 
Ankhoon main raha dil main uttar kar nahi dekha ,
kashti kay musaffir nay samandar nahi dekha...
bewaqt agar jaoonga to sab chonk paraingay ,
ik umar hui din main kabhi ghar nahi dekha ...
jis din se chala hoon meri manzil pe nazar hai,
aankhoon nay kabhi raastay ka pathar nahi dekha...
ye phool mujhay koi viraasat main milay hain,
tum nay mera kaantoon bhara bistar nahi dekha ...
yaroon ki mohabbat ka yaqeen kar lia main nay ,
phooloon main chupaya hua khanjar nahi dekha ...
mehboob ka ghar ho ya buzurgoon ki zameenain ,
jo chor dia phir...use mur kar nahi dekha ...
khat aisa likh kay nageenay se jaray hain,
in haathoon nay lakin koi zevar nahi dekha ...
pathar mujhay kehta hai mera chahnay wala,
main moom hoon usnay mujhay chukar nahi dekha ...
woh mere masail ko samajh hi nahi sakta ,
jis nay meri aankhoon main samandar nahin dekha ...
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x 
 
tum meri aankh kay taiver na bhula paogay
ankahi baat ko samjhogi to yaad aoonga
humnay khushiyoon ki tarhaan dukh bhi ikhatay dekhain hain
safaan-e-zist paltao gay to yaad aaonga
isis andaaz main hotay hain mukhatib mujh se
khat kisi or ko likho gi to yaad aaonga
sard raatoon ki mehekti hui raatoon main
jab kisi phool ko choomogi to yaad aaonga
ab tere ashq main hontoon se chura leta hoon
haath se khud inhain ponchogi to yaad aaonga
shawl pehnaye ga ab kaun december main
baarishoon main kabhi bheego gi to yaad aaonga
aaj to mefil-e-yaaran pe ho maghroor bohot
jab kabhi toot kay bikhrogi to yaad aaonga
haadsay ayaingay jeevan main to tum ho kay nidhal
kisi deewar ko thamogi to yaad aaonga
is main shamil hai meri bakht ki taarikhi bhi
tum siyaah rang jo pehno gi to yaad aaonga...
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x 
 
Hamesha muskuraya,aansuoon ko chupaya,
ghum ko chupanay ka yehi raata nazar aya,
kis kis ko batatay behtay ashkoon ka sabab,
kay dard_e_dil dil main kis nay jagaya,
mehfiloon main main kahin bhi maza na raha,
rakha dil pe pathar to khud ko sajaya,
baat be baat apni aahain daba kar,
yaroon kay darmiyaan kis kadar muskuraya,
na thii mujhay kabhi bhi,koi chah mankashi ki,
jam_e_wafa kis bewafa nay pilaya,
kio...muqadar se shikwa karatay rahain,
jo qismay main tha wohi kuch to paya,
ye kis mor pe aa gai hain umeedain,
kay saya_e_manzil nazar main na aya,
apnoo nay palat kar dekha tak nahi,
ghairoon nay aa kar galay se lagaya,
achha hua ye raaz khul hi gaya ajjj,
kay dil_e_nadaan pe khanger kis nay chalaya,
shab_e_roz chahat_e_salam ye hai ...saqi
dil kay tukray huye or woh chunay na aya...
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x 
 
 
kat hi gai judaai bhi kab ye hua kay mar gaye,
tere bhi din guzar gaye, mere bhi din guzar gaye...
tu bhi kuch or,or hai..hum bhi kuch or, or hain ,
janay tu kidhar gaya, janay hum kidher gaye...
raahoon main milay thay hum rahain naseeb ban gai,
tu bhi na apnay ghar gaya hum bhi na apnay ghar gaye...
woh bhi gubaar-e-khak tha,hum bhi gubaar-e-khak thay,
woh bhi kahin bikhar gay hum bhi kahin bikhar gaye...
tere liye chalay thay hum,tere liye teher gaye,
tu nay kaha to jee uthay tu nay kaha to mar gaye...
waqt hi judaai ka itna taveel ho gaya ,
dil main tere wasaal kay jitnay thay ghum bhar gaye...
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x 
 

Zikr-e-shab-e-firaaq se wehshat usay bhi thi
meri tarhaan kisi se mohabbat usay bhi thi
mujh ko bhi showk tha naye chehroon ki deed ka
raasta badal kay chalnay ki addat usay bhi thi
us raat dair tak raha wo mehfil-e-guftugoo main
masroof main bhi kam tha faraghat usay bhi thi
mujh se bichar kay shehr main ghul mil gaya wo shaks
halan kay shehr bhar se adawat usay bhi thi
wo mujh se barh kay dabt ka aadi tha jee gaya
warna har ek saans ,qayamat usay bhi thi
tanha hua safar main, to mujh pe khula ya bhaid
saye se piyaar , dhoop se nafrat usay bhi thi ...

kio har baar teri naraazgi se...

safar tanha nahi kartay
suno...aisa nahi kartay
chalo tum raaz ho apna
tumhian afshan nahi kartay
suno jiska muqaddar ho
usay chora nahikartay
jisay shafaaf rakhna ho
usay maila nahi kartay
jo bas jata hai dharkan main
usay bhoola nahi kartay
kisi ko dil dete waqt
bohot socha nahi kartay
jo pehlay se hi tanha ho
usay tanha nahi kartay
botho tootay huye dil se
bohot rootha nahi kartay
sunao yadaain sataingi
magar roya nahi kartay
suno tum yaad atay ho
or hum soya nahi kartay ........
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
 
ek dil waloon ki basti thi
jahan chand or suraj rehtay thay
kuch suraj man ka pagal tha
kuch chand shokh or chanchal tha
basti basti phirtay thay
har pal hanstay rehtay thay
phir ek din dono rooth gaye
saaray sapnay toot gaye
ab chand bhi us waqt ata hai
suraj jab so jata hai
baadal sab se kehtay hain
suraj uljha rehta hai
chand kay saath to sitaarya hai
per suraj tanha rehta hai..........
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x

Taray to bohot chamaktay thay
main sirf ik taray ko takta tha
woh jo kabhi  jalta or bujhta t
jo chanda ko door se takta tha
timtimata tha woh har dum
woh bhi meri tarhaan tarapta tha
roshni itni na hoti thi magar
phirr bhi chanda ki khatirr
madham sa roshan rehta tha
sitaroon ki mehfil main kuch
tanha or chup chup rehta tha
meri tarhaan wo bhi to
ruswa, or thukraya lagta tha
khamoosh sa ghabraya sa
sab taroon se wo sharmata tha
sab taray hastay gatay thay
wo door khara muskurata tha
darta  tha hichkichata tha
bas chanda ko takta rehta tha
or aahain bharta rehta tha
main jab bhi tanha akela hota tha
aasmaan ko takta rehta tha
jo sapnay jaisa lagta tha
deewana pagal lagta tha
Taray to bohot chamaktay thay
main sirf ik taray ko takta tha...
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************X
 
 
chand se batain
pichlay peher ki raat thi
tanhai or teri yaad thi
chande nay mujh se kaha
kon hai?
main nay kaha koi saath nahi
bola zindagi kaisi hai ?
main nay kaha kuch khas nahi
bola phir kia chahtay ho ?
main nay kaha koi ass nahi
bola tum nay piyaar kia hai?
main nay kaha kuch yaad nahi
bola tumharay saath bhi dhoka hua?
main nay kaha aisi koi baat nahi
bola phir ik baat kahon ?
main nay kaha koi aiteraaz nahi
bola jaanta hon tum nay bhi piyaar kia hai
or ab wo tere saath nahi ....
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************X
Dil dhoondta hai usay
jo na mil saka mujhay
dil sun raha hai usay
jo sun nahi sakta mujhay
roz milta hai wo ajnabi ki tarha
sung rehta hai wo musaffir ki tarha
piyaar ki yadoon ko
dil ki batoon ko
meri batoon ko
unki batoon ko
raastay mil gaye
magar'manzilain na mili
dil bhi mil gaye
magar'dil lagi na mili
zinda hoon main
magar ' zindagi na mili...
 
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
 
Phool....
Phool ik din kaantay nay phool se poocha...
ay phool...!mujhay tumhari mohabbat se kia hasil hua ?
mujhay dekhtay hi har koi apnay tever badal leta hai...
shayad is liye...! kay main unhain zakhmi kar deta hoon,
or duniya...! tum per marti hai...
tumhari khushbu lene ko tarasti hai...lekin,
tumhari mohabbat se mujhay kia mila ?
phool ye sada sun kar muskurraya ...or kehnay lag ,
tumhain to khush hona chahiye...
jisper duniya merti hai wo tumharay baghair ik pal bhi,
nahi reh sakta...
jab koi mujhay tum se juda karta hai,
to main mar jata hoon...
kio kay main sirf or sirf....
  "TUM SE MOHABBAT KARTA HOON"

Kitni aziyat se us nay mujhay bhulaya hoga...

Tera Dard Tha Teri Yaad Thi....
 Main Jidhar Raha Main Jidhar Gya...
Mera Din To Yunhi Guzar Gya....
Is Abar Ka Mere Yaar Se...
Bara Milta Julta Mizaj Tha...
Kabi Toot Kar Baras Gya....
Kabi Be-rukhi Se Guzar Gya...
Jab Chor Dunga Main wo Gali...
Ause Yaad Aegi Tab Meri
Muje Dhoonday Gi wo Gali Gali...
To Khabar Mile Gi Main Mar Gya...
Abi Tang Hai Mere Naam Se...
Mere Baad Raah Main Dostoon... Wo
Tumhi Ko Rok Rok k Puche Gi...
Wo Kidhar Gya????? Wo Kidhar Gya?????

X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x

Raaz ki baatein likhi aur khat khula rehney diya,
 Jaaney kyon rusvaayeyoo ka silsila rehney diya !
 Umar bhar mere saath reh kar woh na samjha dil ki baat,
 Do dilon ke darmiyaan ik faasla rehney diya !
Apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood,
Khatam ki ranjish magar gila rehnay diya !
 Main samjhta tha khushi degi mujhey `Woh' farebi,
 Isliye maine ghumoo say raabta rehnay diya !
Raaz ki baatein likhi aur khat khula rehney diya,
Jaaney kyon rusvaion ka silsila rehnay diya..
Hijr Ki Aag Main Sulgo Tou Bur Lagta Hai..
Tum Meri Deed Ko Tarso Tou Bura Lagta Hai..
Ek Tamanna Hai Fakat Mujh Per Meherban Raho..
Tum Kisi Aur Ko Daikho Tou Bura Lagta Hai..
Meri Chahat Ka Takaza Hai Meray Saath Raho..
Ghair Ka Haath Jo Thhamo Tou Bur Lagta Hai..
Yeh Meri Rooh Tarasti Hai Teri Khushbo Ko..
Tum Kahain Aur Jo Mehko Tou Bura Lagta Hai..
Aarzo Hai Teray Roop Ko Her Pal Daikhoon..
Tum Mery Pas Say Uthho Tou Bura Lagta Hai..
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x

Meri muhabbat per atibaar to kya hota
Kesi aur ki honey se pehla mera intizar to kya hota
Ulfat bhari nazron se ek bar dheka to hota
Mere zakhmoh per kabhi ek bar marham to lagaya hota
Bewafa humhey kahney se pehle
Ek bar azma-e-wafa to kya hota
Sab kuch bhool kar har rista tor kar
Ek bar tah-e-dil se mere dil per hath to rakha hota
Bewafa kahney se pehle
Aahed-e-wafa to kya hota
Dil-e-nash-e-mann mein jo aag lagaye thi tum na
Ek bar usey bhojaya to hota

X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
Ban Jaoon Mein Agar Tum Sa Tumhe Kaisa Lagay Ga..
HerPal Main Rahun Tum Se Khafa Kaisa Lagay Ga..
Parhte Ho Mujhe Tum Jo Namazon Ki Tarha Se..
Ho Jaon Agar Tum Se Qaza Kaisa Lagay Ga..
Tum Pyar Main Khud Ko Bhi Mitane Pe Ho Raazi..
Ban Jaye Agar Pyar Saza Kaisa Lagay Ga..
Khud Se Bhi Zyada Ho Yaqeen Tum Ko Kisi Par..
Woh Shakhs Hi De Jaye Dagha Kaisa Lagay Ga..
Tum Auron Ki mehfil Ka Diya Ban Ke Jalo Phir..
Tanhai Milay Tum Ko Sila Kaisa Lagay Ga..
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
Bikhar Rahi Hai Meri Zat Usy Kehna..
 Kbhi Milay Tou Yeh Baat Usy Kehna..
 Wo Sath Tha Tou Zamana Tha Hamsafr Mera..
 Magar Ab Koi Nahi Mery Sath Usy Kehna.
 Usy Kehna Ke  Bin Us Ke Din Nahi Katta..
 Sisik Sisik Ke Katti Hai Raat Usy Kehna..
 Usy Pukaron Ke Khud Hi Pohanch Jaon Us Ke Pass..
 Nahi Rahey Woh Halaat Usy Kehna..
 Agar Woh Phir Bhi Na Lotay Tou Aey Mehrban Qasid..
 Hamari zeest Ke Halaat Usy Kehna..
 Her Jeet Us Ke Naam Kar Raha Hoon Main..
 Main Manta Hoon Apni Haar Usy Kahna..
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
kitni azyat say us nay mujh ko bholaya hoga,
mayi yaadoon nay usay kuab rulaya hoga,
bat bay bat ankah us ki jo jhoki hogee,
us nay charay ko bazoon main chuphaya ho ga,
soucha hoga us nay din main kaiee bar mujhaay,
naam hatyeeli per likha ker mithay hoga,
jahan us nay mayra ziker suna hoga kisi say,
us ki ankhaoon main koi ansoon to aya hoga,
rat kay beetnay tak nieend na aiee ho gee usay,
us nay takya ko bhi sinay say lagay hoga,
hokay nidhal mayri yaadoon say us nay,
mayri tasweer pay apna takya lagaya hoga,
pocha hoga jab kisi nay us kay halaat ka sabab,
us nay batoon main khuab usay chupaya hoga,

X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
 
Dastan-e-Ishq jab hum sunanein Lage
Palkon se sab ke ashq bahne lage
Marg-e-Ishq ka yeh silsila raha
Har kio majh se meri dastan-e-hasrat pouchta raha
Wo humdardi jatane lage
hum piyaar ka diya jalaney  lage
Wo dost kah kar hum ko bolane Lage
hum unhey apni jaan samjh ke dil ka kareeb lane lage
Jab hum un se Ishq-e-mohabbat karne lage
Woh Mere Ashyan-e-dil ko tor kar door jane lage
Hum tofano mein bhi
apne diya ko phir jalane lage
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
Khamoosh lehje hain mere hamdam kabhi bola nahi kartey,
Dard-oo-ghuum ko haar aik key samney khola nahi kartey,
Mohabbat tooh mahabbat hai baari anmool hoti hai,
Mohabbat koo tarazoo main kabhi toola nahi kartey,
Merey khamoosh rehney per koi eilzam maat dena,
Samander tooh samander hain kabhi bolaa nahi kartey..

X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
Dost ban kay miltay rahay mujh ko mitanay walay,
main nay dekhain hain kai rang badalnay walay,
tum nay chup reh kar or bhi sitam dhaye mujh per,
tum se achhay thay mere haal pe hasnay walay,
main to ikhlaq kay haathoon hi bika karta hoon,
or hoonagay tere bazar main biknay walay,
aakhri daur per salam_e_dil mujh se le lo,
phir na lotaingay shab_e_hijr pe ronay walay...
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
 
Har pal teri yaad ka silsila rah,
duba hua ye dil or bhi doobta raha...
mujh ko hua yaqeen hum mil na payaingay kabhi,
aansu gira aankh se or main betha raha...
main nay kaha ayedil...bas tu bhi maan ja,
dil nay kaha dost...!ab ye mumkin na raha...
us ka baghain ab to jeena nahi mujay,
sargoshioon main dil bas ye kehta hua mila...
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
Ab kay dil ko yun saza di hum nay,
uski har ik baat bhuladi hum nay...
ik ik phool bohot yaad aye,
 shakh_e_gul jab jala di hum nay...
ajj tak jis per woh sharmatay thay,
baat wo kab ki bhula di hum nay...
sheher_e_jahan rukh se abaad hua,
aag jab dil ki bujha di hum nay...
ajjjj phirrr bohot yaad aya woh,
ajjjj phirrr is dil ko dua di hum nay...
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
Her koi ghum kay haathoon pereshaan nazar ata hai,
ik main hi nahin tanhaan sara jahaan nazar ata hai...
miltay hain muskura ker fakat apni gharz kay wastay,
her koi kisi pe aisa meherbaan nazar ata hai...
dil lete hain' dil dete hain,kaisay sodagar hain,
in donoon main kon be-imaan nazar ata hai...?
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
Jurm hai jo wo piyaar mat karna,
had ki rekha ko paar mat karna...
hum kabhi ik ho nahi saktay,
tum mera intezaar mat karna...
tanzz karti hain bhool jati hain,
tum kabhi hawaoon pe waar mat karna...
pal main tola pal main maasha hai...
waqt ka aitebaar main karna...
soch alag hai alag hai shaksiyat,
mera sab main shumaar mat karna...
dhan ki lalach main ho kay andhay tum,
makr_o_fun ikhtiyaar mat karna...
sheesha_e_ghum uchaal kar imtiaaz~**
ik se tum hazaar mat karna...
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
 
Main hosh main tha to us pe mar gaya kaisay ?
ye zeher mere lahu main utar gaya kaisay ?
kuch us kay dil main lagwat zaroori thi warna,
wo mera haath daba kar guzar gaya kaisay ?
zaroor us ki tawaja ki rehbari hogi,
nashay main tha to main apnay hi ghar gaya kaisay ?
jisay bhulaye kai saal ho gaye,
main ajjj uski gali se guzar gaya kaisay ?
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
 
KHUDA hum ko aisi KHUDAI na de,
kay apnay siwa kuch dikhai na de...
khatawaar samjhay gi duniya tujhay,
ab itni bhi ziada safai na de...
hanso ajj itna kay is shor main,
ehed siskiyoon ki sunai na de...
abhi to badan main lahu hai bohot...
qalam cheen lay or roshni na de...
mujhay apni chadar main yun dhaanp lo,
kay zameen aasmaan kuch dikhai na de...
ghulami ko barkat samjhnay lagay hain,
fakeeroon ko aisi rehai nahi de...
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
 
Ajjj kiA zikr kisi nay jo tumhara,
halkay halkay se yaad phir tum anay lagay...
main purani batoon kay samader main doobanay laga,
dil main phir ik baar tum utar nay lagay...
palkoon kay darwazoon ko band kia main nay,
tu aansuu ban kar aankhoon se behnay lagay...
babasi itni kay mera haath utha gaya,
dobara ALLAH se tumhain mangnay laga...
zikr tumhara sun kat ik baar phirrr,
mere jazbaat tumhari tamana karnay lagay...
bana kay tasveer teri mere zehen main,
mere totay armaan ronay lagay...
pa kay tumhain khwaboon main hum,
jaag kay phirr tumhain khonay lagay...
wada chata hoon taqdeer se ye,
kay badal de wo jo honay lagay...
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
Ab piyaar nahi karna bohot dard seh chukay,
apni mojoon kay sahil pe bohot ab khoon beh chukay...
nahin hasil...tio kia roun~** teri mohabbat ko, ?
teri hasi kay badlay'kai baar mar mar kay ji chukay...
tumhain na yaad hoon shayad apni wafa kay silsilay,
teri wafa main barbaad to kai raat ro chukay...
ab bhi sakoon nahi aya jinhain'teri khwahishoon ka kia kehna,
meri mout ko bhi dedi shikast teri baduaoon ka kia kehna...
chalo ab maar hi dalo yun na tum mujh ko dua do,
mere zakhmoon ko to choro in ashkoon ka mita do...
hum tumhian bhool bhi jaingay magar,tum bhoolnay na dena,
mujhay apni wafoon ka mere marnay per sila na dena...
 
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
 
Intezaar to kareiN ke jab vo aaye bhi,
Bhool jaayeiN hum chhodeiN jo mere saaye bhi...
Kal subah yeh zindagi jo na rahi,
Tamaasha dekheNge apne aur paraaye bhi...
Vo gair hai to gair ban-na bhi seekh le,
YaadoN meiN aake baar-baar aazmaaye bhi...
Kehta hai duniya ko chhoD dega humeiN,
MuD ke dekhe baar-baar, ghabraaye bhi...
Yeh kaisa khuda hai mere dosto,
Khud hi lagaaye aag, khud hi bhujaaye bhi...
Shikwa bhi to kya kareiN hum kisi se,
Khoya ik humsafar to lakhoN rehnuma paaye bhi...
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
Bheegi Hui Aankhon Ka Yeh Manzar Na Mille Ga
Ghar Chor Ke Mat Jao Kaheen Ghar Na Mille Ga
Phir Yaad Bohot Aaye Gi Zulfon Ki Ghani Sham
Jab Dhoop Mein Saaya Koi Sar Per Na Mille Ga
Aansoo Ko Kabhi Oss Ka Qatra Na Samajhna
Aisa Tumhein Chahat Ka Samandar Na Mille Ga
Is Khowaab Ke Mahool Mein Be-Khowaab Hain Aankhein
Jab Neend Bohot Aaye Gi To Bistar Na Mille Ga
Yeh Sooch Lo Ab Akhri Saaya Hai Mohabbat
Is Dar Se Utho Ge To Koi Dar Na Mille Ga
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
Piyaar kia hota hai dikhaoongi ik din...
teri sangdili ko sehtay sehtay,
 jaan se apni guzar jaoongi ik din...
jeena paray ga tujh ko bhi ho kay juda mujh se,
aisa piyaar tujh se kar jaoongi ik din...
andheroon main dhondhta reh jaye ga mujhay,
aisi berukhi dikhlaoongi ik din...
kho kay mujh ko pashtao gay bohot sanam tum,
wafa tum se aisi kar jaoongi ik din...
aisi dewaangi se chahoongi tumjhay,
bhooljaogay tum bhi sara jahaan ik din...
jaan teri bhi laboon per ajaye gi,
jab ban kay khakh miti main mil jaaongi ik din...
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
Wo apnay ishq main kaisa kamaal rakhta hai,
ka berukhi main bhi mera khayaal rakhta hai...
jo ajjj mera nahin kal mera hoga,
kay har zamana urooj_o_zawaal rakhta hai...
ajeeb nahi...wo wo zamanay bhar ko bewafa samjhay,
nazar main meri wafa ki misaal rakhta hai...
kahan talak koi daastan_e_karam ko zehmat de,
tamaam sheher hi wasta_e_sawaal rakhta hai...
meri udaan kay agay hai kis qadar bebas,
ye aasmaan jo sitaroon ka jaal rakhta hai...
tera khayaal hi kuch meherbaan hai warna,
jahaan main kon kis ka khayaal rakhta hai...

X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
Barsoon kay baad dekha hai ik shaks dil ruba sa,
ab zehen main nahi hai,purnam tha bhula sa...
abro khinchay khinchay se,aankhain jhuki jhuki si,
baatain ruki ruki si, lehja thaka thaka sa...
khwaaboon main khwaab uska,yaadoon main yaad uski,
neendoon main ghul gaya ho jaisay ratjaga sa...
pehlay hi log aye kitnay hi zindagi main,
lekin wo har tarhaan se oroon se tha juda sa...
pichli mohabbatoon nay kuch namuraadiyaan di thi,
taza rafakatoon se kuch dil tha dara dara sa...
kuch ye kay muddatoon se hum bhi nahi thay roye,
kuch zeher main buha tha, ehbaab ka dilasa...
ab sach kahain to yaroon humko khabarbahi thi,
ban jaye ga qayamat ik wakia zara sa...
tever berukhi kay andaaz dosti  kay,
wo ajnabi tha lekin, lagta tha aashna sa...

X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
Na shikayatian 'na gila karay,
koi aisa shaks hua karay...
jo mere liye hi saja karay,
mujh se hi batain kia karay...
kabhi roye jaye wo bepanha,
kabhi betahasha udaas ho...
kabhi chupkay chupkay dabay qadam,
mere pichay aa kar hansa karay...
meri qubatain meri chahatain,
koi yaad karay qadam qadam...
main taveel safar main hoon agar,
meri wapasi ki dua karay...
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
 
UskA Naam likh likh ker mitana bhool jati hoon
uSse jab yaad kerti hoon zamana bhool jati hoon
Bohat si aisi baaten hain jo mere dil main rehti hain
Magar jab usse milti hoon batana bhool jati hoon
Main yeh har shaam kehti hoon usse ab bhool jaoon gi
Magar jab subha hoti hai bhulana bhool jati hoon.

X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki  Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.......
 
X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
YUN TO SAATH DENE KO HAZAROo HAATH AUR HAI,
TUM JO SAATH MEIN RAHO TUMHARI BAAT AUR HAI,
CHAND AANSU KYA GIRE KE zINDAGI BHIGO GAYE,
DIL KI DHUL KYA UDI KE RAASTE HI KHO GAYE,
JAISE CHAAND KO SADA NikHARTA CHAKOR HAI
TUM JO SAATH MEIN RAHO THUMARI BAAT AUR HAI,
SHAAKH PAR TO PHooL BAHaT EK BHI KHILA NAHI,
MUJHKO MERE IS NASEEB PAR KOI GiLA NAHI,
SWAPN MUJH KO AATE NA HO AISA SILSILA NAHI,
SWAPN MEIN TO SAB MILE KINTU WOH MILA NAHI, 
MERE MAN KE SANATe ME CHARO AUR SHOR Hai,
TUM JO SAATH MEIN RAHO TUMAHRI BAAT AUR HAI,
YUN TO SAATH DENE KO HAZAARO HAATH AUR HAI,
TUM JO SAATH MEIN RAHO TUMHARI BAAT AUR HAI

X*****************************************************X
X*****************************************************X X*****************************************************X
X*****************************************************x
 
US KE BINA AB CHUP CHAAP REHNA ACHA LAGTA HAI..
KHAMOSHI SE DARD KO SEHNA ACHA LAGTA HAI..
JIS HASTI KI YAAD MEIN AANSU BARSTAY HAIN..
SAAM NE US KE KUCH NA KEHNA ACHA LAGTA HAI..
MIL KAR US SE BICHAR NA JAON DARTA REHTA HOON..
IS LIYE BUS DOOR HI REHNA ACHA LAGTA HAI..
JANTA HOON KE CHAHAT MEIN BUS AANSO MILTAY HAIN..
KUCH BHI HO AB IS ZEHAR KO PEENA ACHA LAGTA HAI..
JEE CHAHAY SAB KHUSHAIN LAA KAR US KO DE DOON..
US KE PYAR MEIN SAB KUCH KHONA ACHA LAGTA HAI
 
by 
by 
by 
by 
by 
by 
More...

Windows Media Player

There are no categories in use.